Kyun Chahati ho tum mujhe , main tumhe kya de paunga !
kisi hawa ke jhonke sath , kabhi main udd jaunga !!
Sir chiapne ko chat nahi , main tumhe kya de paunga !
kisi bhari barsat me , main pani ke sath beh jaunga !!
tanha hi main rehta hun , main ab sath kya de paunga !
tanhai me rehte -rehte , main kabhi tanha hi mar jaunga !!
main tumhe kya de paunga …
khwabon ka hun mehal banata , main tumhe kya de paunga !ret ke kisi teele ki tarah , main tut kar bhikar jaunga !!
chahati ho tum khud se jyada , par tumhe chah na paunga !
chahat me hara khiladi hun , kabhi chaht na kar paunga !!
khaya hai dhokha maine kabhi , main ab aitbar na kar paunga !
ab hanste hanste dunia se , bin mohbbat ke hi guzar jaunga !!
No comments:
Post a Comment