Koi deewana kehta hain koi | Shayari Lover
Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai !
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai !!
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin !
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai !!
Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain !
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain !!
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain !
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain !!
No comments:
Post a Comment