Chehre par apne muskan rakhta hun | Shayari Lover
Tune tod diya jo dil mera , to kya hua ae sanam !
main dilwalon ki mehfil me , apna mukam rakhta hun !!
Bhale hi jmane me tere husn ke charche rehe honge , ae sanam !
juban par khuda , jameer me apne main iman rakhta hun !!
Tune jaane kitne dilon se khela hoga , ye khel dilon ka !
main kisi ek par mohbbat lutane ki , kwayad rakhta hun !!
Read : Best Love And Romantic Quotes
Karke mohbbat , fir mita ke sharm o haya , libason ka utarna aam hua !
guzar nahi mujhe jismon ki , ab bhi ruh me utrne ki aamad rakhta hun !!
Main ishk me tuta jarur hun , magar mohbbat ab bhi karta hun !
viran hai jindagi , magar jeene ki chahat abhi baki rakhta hun !!
Mohbbat karke fir kyun koste hai , bewafaon ki bewafai ko !
main loota ke ishk me sab , chehre par apne muskan rakhta hun !!
No comments:
Post a Comment